Tumgik
alanyaa · 2 months
Text
Sab ko khush rakhne wali,
Me apana dard kise batau.....
Kon sunega, kon samjhega,
Me apani kahani kise sunau,
Chuna tha ek humsafar jise, usse bhi kya me umid lagau,
Dega vo mere har mod par mera sath, kese me khud ko yakeen dilau,
Sab ko khush rakhne wali,
Me apana dard kise batau.....
Tanha, adhuri si hu me, dil ke raaz ab or kese chupau,
Khushi ke vo do pal, ab kaha se me dhund laau,
In roti aankho ko kese samjhau, koi nahi mera, jo mujhe hasaaye,
Bin bole meri baat samajh jaye, bas kuch ghadi sang yuhi beth jaye,
Sab ko khush rakhne wali,
Me apna dard kise batau......
Sab ko khush rakhne wali,
Me apna dard kise batau......
1 note · View note
alanyaa · 2 months
Text
Kabhi kahi mujhse takkara jao,
Toh mujhe dekh muskuraa dena,
Mana zakham diye hai bahut tumhe,
Meri aankho me chupe aansu ko marham bana lena,
Maafi ke layak toh nahi me,
Par mere sang beete hasin pal yaad rakh, mere diye gamo ko bhula dena,
Kabhi kahi mujhse takkara jao,
Toh mujhe dekh muskuraa dena....
Mana dil toda hai mene tumhara,
Jo pahele sa naa jud payega,
Tumhare dil me chupe us dard ko, tum bas mera pata dena,
Mafi ke layak toh nahi me,
Par humare us pyaar ke ahsaas ko, dil me ab bhi kahi - thodi si toh panaah dena,
Kabhi kahi mujhse takkara jao,
Toh mujhe dekh muskuraa dena....
Kabhi kahi mujhse takkara jao,
Toh mujhe dekh muskuraa dena....
1 note · View note
alanyaa · 2 months
Text
Katra katra bikhri hu me tujhe pane ke liye,
Par tu kabhi naa lauta, mera ho jane ke liye,
Di thi Mene mere pyaar ki duhaiyaan tujhe,
Thukara diya tune vo pyaar bhi mera is zamaane ke liye....
Katra katra bikhri hu me tujhe pane ke liye....
2 notes · View notes
alanyaa · 2 months
Text
Kyu kuch khwaab adhure reh jate hai,
Kyu kuch Aaine-e-haqiqat bikhar jate hai,
Jin haseen palo ka tha mujhe kab se intazaar,
Kyu vo dar par dastak de laut jate hai,
kyu koi apana hume ajanabi kar jata hai,
or ajanabi hume unginat khushi ke pal de jata hai,
Kyu jab lagta hai sab sahi hai,
Tab hi us rab se dokha mil jata hai,
Kyu ye dil baar baar tut kar bhi,
Pyaar ki chaah me nikal jata hai,
Kyu ye nadaan dil, shatranj-e-duniya me uljh jata hai,
KYU.... KYU..... KYU.... or KYU.....
Is 'kyu' ke jawabon ko pane me tu kab tak khud ko khoyega,
Ab ban vo parinda jo is neele aasaman ko jeetega...
Ab ban vo parinda jo is neele aasaman ko jeetega...
3 notes · View notes
alanyaa · 2 months
Text
Ek ajanabi apana sa lagane laga tha,
Kon tha, kaisa dikhta tha, kaha rehta tha mujhe nahi pata,
Par hamari baton ka silsila badhne laga tha,
Fasale milon ke the darmiyaan, par jazbaaton ka sailab umadne laga tha,
Ek ajanabi mujhe apana sa lagane laga tha....
Pal pal ki bate use batane ko jee karta tha,
Har ek lamha uske sath bitane ka jee karta tha,
Uske rooth jane par use manane ka jee karta tha,
Ek ajanabi mujhe apana sa lagane laga tha....
Bich ki duriyan kam ho jaye,
Tu or me ab hum ho jaye or har mushkil khatam ho jaye,
Kya ye kbhi mumkin hoga?
Me teri or tu mera humsafar hoga?
Ye hi sawal soch soch mera dil ghabrata tha,
Bol na payi use kabhi, ki mere is dil me ghar usi ka tha,
Ae ajanabi tu kyu mujhe apana sa lagata tha.....
4 notes · View notes
alanyaa · 3 months
Text
Aaj bhi mere is dil mein teri jagah hai,
Teri bas ek jhalak pane ki kaii vajah hai,
Khwaab bhi tera aaye toh hakikat lagata hai, Juda kabhi tu hua hi nhi mujhse is dil ko ye har waqt lagata hai,
Tere laut aane ki ab naa mujhe koi khwaish hai, tu jha bhi rahe khush rahe, bas rab se itni guzaarish hai...
2 notes · View notes
alanyaa · 1 year
Text
Usne mera intzaar karna bhi zaruri nahi samjha,
Shayad vo mujhse Zyadaa Majbur tha..... 
5 notes · View notes
alanyaa · 2 years
Text
Teri kami ka ahsaas hai mujhe,
Par fir bhi teri yaadon me mein khush hu...
Tu bastaa hai mere dil-o-zehan me,
Mujhe zarurat nahi tujhe kahi bhi dhundhane ki,
Tu rehata hai mere har ahsaas me,
Tujhe zarurat nahi mere sang hone ki,
Tujhe chupaya hai in aankho me,
Bas usi me mein khush hu,
Teri kami ka ahsaas hai mujhe,
Par fir bhi teri yaadon me mein khush hu...
Tu dur hai mujhse kisne kaha,
Aa kar dekh le har baat me meri zikr hai tera,
Fasale hai tere mere bich aaj,
Par raahe teri meri naa kabhi thi juda,
Kabhi tujhe mene apnaa banaya tha,
Tujhe mene paya tha, bas usi me mein khush hu,
Teri kami ka ahsaas hai mujhe, Par fir bhi teri yaadon me mein khush hu...
Teri kami ka ahsaas hai mujhe, Par fir bhi teri yaadon me mein khush hu...
2 notes · View notes
alanyaa · 2 years
Text
Vo pal mere liye bahut khaas hai,
Un palon mein ghule mere jazbaat hai,
Us har pal mein ek naya ehsaas hai,
Kyu ki us har pal mein, sirf or sirf tu mere saath hai,
Tere bin adhuri meri har saans hai,
Bas tu hai paas har pal, zindagi-e-taufaa bahut khaas hai.
8 notes · View notes
alanyaa · 2 years
Text
Kuch khawaab adhure se reh gaye,
Bin tere kuch bole, in aankhon se ashk beh gaye,
Teri judaai bardasht kar gaye, par khamosh lab tere, dil me chubh gaye,
Tij-tyohaar fike pad gaye, din saal bas pal pal tujhe yaad kar kat gaye,
Par fir bhi naa kabhii tujhse ye keh paye, laut aa, tere bin reh kar naa jee paye, Agar tu ho toh tere sang zindagi bas yuhi beet jaye.
7 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Ek udaan fir bhari hai meine aaj,
Sapano ko jeene ka hosala liye,
Ummidon ka daman thaame,
Dil mein dar, par hothon par muskaan liye,
Ab naa raah badalni hai, naa hi chaah,
Bas dil-e-khwahish mukamal ho jaye ye hi hai armaa.
6 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Tab tune meri Qadar nahi ki,
Mein kaisi hu tune fikar nahi ki,
Ab mein jab tujhe bhula bethi hu,
Toh kehate ho sheher aaye par khabar nahi ki.
Qadar = Treasure
Fikar = Worry
Sheher = City
Khabar = informed
19 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Kabhi kabhi rulati hai,
Kabhi kabhi hansati hai,
Kabhi kinhi lamhon mein ajab kashish reh jati hai,
Ye zindagi hai doston, yeh har pal apne naye rang dikhalati hai.
Rulati = Sadness
Hansati = Happiness
Lamhon = Moments
Rang = Colours
9 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Kyu Roz mere sapano mein chale aate ho,
Kyu meri bechainiyan or badhaa jate ho,
Bas karo ab, jaane do, kyu mere tute dil ke zakhm ched jaate ho.
Sapano = Dreams
Bechainiyan = Restlessness
Zakhm = Wound
2 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Yuhi tanhaa bas sochti rehti hu,
Tujhse naa kar paai jo baatein vo khud se hi kar leti hu,
Zakhm itne gehre hai jo shayad kabhi na bhare,
Or marham bane tu , asi naa koi ummeed kbhi rakhti hu.
Zakhm = Wound
Marham = pain relief
Ummeed = Hope
4 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Sabki takleefein, sabki kahaniyan, hum sab sunte hain,
Par khud ka haal-e-dil, khud ki pareshaniyan batane ka man hi nahi karta.
Takleefein = Pain
Kahaniyan = Stories
Pareshaniyan = Problems
3 notes · View notes
alanyaa · 3 years
Text
Ye Jo aadat pad rahi hai tumhari,
Is aadat ko ase hi barkaraar rakhana,
Kahi nazar naa lag jaye is ishq ko zamaane ki,
Ise zara zamaane se chupa kar rakhana.
Aadat = Habit
Barkaraar = Maintain
9 notes · View notes