Tumgik
#sab theek hojata hai
possiblygewgaw · 4 months
Text
Kabhi kabhi zindagi itni ulajh jaati hi key lagta hai, bas ab kuch nahi ho sakta. Par phir kuch samay lagayein, uljhan suljhayein, bujhe bujhayein, to lagta hai, arey itni bhi buri nahi hai zindagi. Isliye har cheez ko waqt do. Koi na koi rasta hamesha nikal hi aata hai.
Tumblr media Tumblr media
0 notes
Tumblr media
Kuch logo k sath waqt bita kar hi sab theek hojata hai>>>
6 notes · View notes
verses-n-moon · 1 year
Text
Kuch logo ke sath waqt bitane se he sab kuch theek hojata hai.
6 notes · View notes
Text
Jab bhi lagta hai ki life ka koi sense nhi hai tab ranbir kapoor ki movies dekh leti hoon sab theek hojata hai😭😭🙌🙌
12 notes · View notes
hey-duaaa-here · 1 month
Text
log kehtey hein waqt k sath sab kuch theek hojata haa lekn unhein koi btae kuch theek nahe hota balkay baz auqat sab pehle sey ziada kharab hojata haa kiun k jb ksi ki adat hojati hai tou woh adatein jaan leva ban jati haa aur insanoun ki yaadein tou waqai jaan ley leti hein.🍂
0 notes
jyotiankur2017 · 5 years
Text
Bachpan
Agar koi person bachpan ke dino me pasand aane lage to wo humesha hume yaad rehta hai, or us ek pehli feeling ko hum thode bade hokar ignore kar dete. esa har kisi ke saath hota. ha mere saath aapke saath....... or uske saath esa hi kuch uske bachpan ke un dino me hua jab wo pasand na pasand ka matlb bhi nai janti thi. par us time apka dill to kaam nai karta par dimag me wo seen zaroor set hojata jab aap uske sakl uske vichaar uski soch uske har ek movement me ese kho jaate hai ki aapko lagta hai ye mere saath hi khele mere saath hi rahe. kyuki bachha humesa apne adventure ke baare me hi sochta hai. wo ye nai janta ki uska yahi adventure uske life ka part bhi ban sakta hai.
aapne banchpan ke pyar ke baare me to suna hi hoga. esa pyar jo waado,kasmo,ikchaao,majburiyo se nahi bandha hota. theek esa hi pyaar ek ladki ne mujhse kiya. ye mujhe aaj bhi thoda atpata lagta hai kyuki yaar mere jesa bandda jisko pyar ka gyaan to 6th class me aya par approach karne ki himmat graduation ke baad bhi nai aai. esa to mai tha.
Bolte haina "Duniya ki parwah karte karte humne apne baare me socha hi chhod diya" to ye mera vichaar hai koi bola ho to baat alag hai.
line me dum hai kyuki mai esa hi tha dosti yaari bhai bandhu sab me itna jada khus rehne laga ki relationship ke baare me serious kabhi nai hona pada.
Point me aaaaaa
Ha to baat hai ye un dino ki jab hum " hum" chalo mai or wo dono mile Chirimiri apne birth town me family ke karan. ha humaare milne me humaari family ka bot bada haath hai. or aaj hum ek hone ke liye family ko face nai kar paare "hota hai" har love story me hota hai.
Bachha buddhi ek esi bimaari hai jisme bachhe ko ye nai pata hota ki khel khel mai wo ek dusre ke saath kya kuch nai karlete... :P is situation se to bhagwaan bhi nai bacha to hum kya hai.
Hum haridwar ke trip me the dono ek hi room me family ke saath the. par kya hota haina jab aap bachpan me bhi sarmaane lage to aap bohot kuch kho dete hai jo aapko bade me uski jhalak yaad aate to gussa ata hai sala bachpan tha kar hi lena tha.
ye mohtarma humko khelta dekh khelne tak nai aati thi saath kyu "sharam" ye na ladkiyo ki problem hi yahi hoti hai ladko se kam thodi hoti hai. agar ladko ko pyar ka mtlb 5th class me samajh aya to smjhlo ladki ko 3rd class me hi smjh me aachuka hoga. ye mera manna hai. khelne ka to man bohot tha inka mere saath par kya kare aankhe thanddi jo karni thi bas. garmi ka to ehsaas hi nai hota tha us time.. oops sry yaar thoda vlgr hoga samhaal lena.
Chalo waha to nahi kheli humaare saath. fir hum wapas aae Chirimiri apne apne ghar medum ne dekh to liya hi tha meri mashumiyat ko. nai pata kaha se dikh gai. Esa nai hai yaar i am mashuuum.
Fir humaari life ka ek esa part aya jisme bachpanaa to tha par thoda thoda pyar wala bachpana tha.
Ha bachpan ki ek baat to batana hi bhool gaya.
1 note · View note
mushayraapp · 3 years
Text
Mana
Mana ke der saver sab theek hojata hai, par ,sab kuch phele jaisa bhi nahi rehta . Na to phele jaise ham muskura paste hai , aur naa hi kisi par dobara kisi parbharosaa, kar paatey hai !! @ Anubhav agrawal !! #MushayraApp https://goo.gl/u2qkTU
View On WordPress
0 notes
tadibaaaz · 7 years
Text
Episode 6
Living Room (continued)
 Omkara grabs Gauri’s hand and takes her to the coffee table, which has a pen and the divorce papers on it. He takes the pen, making Bua Maa very happy.
Jahnvi: ... Omkara.
Omkara drops the pen and runs to Jahnvi’s side. The pen rolls on the ground and stops at Bua Maa’s feet. She picks it up, miffed.
Omkara: Mom!
Jahnvi: Main... abhi to main kitchen mein... main yahan kaise aayi?
Omkara holds Jahnvi’s hand.
Omkara: Relax, mom. Aap kitchen mein behosh hogayi thi. Main aapko yahan le aaya, iss se pehle ke Gauri aapko koi aur nuksaan pohonchati.
Jahnvi: Nuksaan? Laikin Gauri to meri help karne ki koshish kar rahi thi.
Omkara: She pushed you! Woh aapko kitchen se dhakke maar ke nikaal rahi thi.
Jahnvi: Nahi, Om. Kitchen mein achaanak se my head starting spinning. Gauri mujhe baar baar jaake araam karne ko bol rahi thi. Par meri zidd... Thank you, Gauri, agar tumne sahi waqt pe mera stove ke paas se haath nahi hataaya hota, to main to shayad jal chuki hoti.
Bua Maa breaks the pen and storms off angrily.
Omkara: Bua Maa?
Omkara starts walking towards her.
Gauri (to herself): Iss se pehle ke Omkara ji Bua Maa ka ghussa thanda karein, hum jaake unko aur bhadkaate hain. Shayad woh Omkara ji ke saamne sab sach boldein.
Gauri runs after Bua Maa, overtaking Omkara.
Hallway.
Gauri: Kya huwa Bua Maa aap itne ghusse mein wahan se...
Bua Maa: Kya huwa? Kya huwa?! Yeh tu mujhse pooch rahi hai?! Poori chaal set karke di thi tujhe. Jahnvi ko drug kiya, jaise tujhe kuch na karna pade. All you had to do was be in the same room, but you couldn’t even do that properly! Tune dekha? Omkara sign karne hi wala tha. Laikin teri mahaanta... zaroorat kya thi Jahnvi ko bachaane ki? Kyun mere plan ke totay totay karne pe tuli ho?
Gauri: Jo ap chahti hain woh hum se nahi hoga. Humne aapko pehle bhi bola tha.
Bua Maa: Whatever. Main tujhe ek aur mauka de rahi hoon, Gauri. Fix this. Bohot hogaya tera drama, abb main apni achhayi ka faida nahi uthaane doongi. Aur ek baat yaad rakhna: don’t play games with me. Tu mujhse nahi jeet sakti.
Bua Maa goes to her room, slamming the door behind her. Gauri turns around and sees that Omkara never came after Bua Maa. He stayed back with Jahnvi and the doctor.
Gauri: Hum yahan aapse jeetne nahi, aapko haraane aaye hain, Bua Maa. Chahe iss mein humari bhi haar kyun na ho.
Bua Maa’s room.
Bua Maa is blow drying her Ratan doll, which is wrapped in a towel.
Bua Maa: Haye mera beta! Tu theek to hai na? Aaj to Gauri ne hadd hi kardi. Laikin main tujhko dobara doobne nahi doongi, Ratan. Humari naav paar hogi, par lagta hai Gauri ko uss mein se dhakka dena padega.
She lays the doll on her bed.
Bua Maa: Chal abb tu araam kar. Main nahi chahti ke tu beemaar padd jaye.
Bua Maa sings a lullaby as she puts the doll to sleep.
Living Room.
Omkara: Mom sahi keh rahi thi. Gauri ne jo unn ke liye kiya, I should thank her for that. (looks around) Par woh hai kahan?
A butterfly pops up from behind the sofa, and so does Gauri.
Gauri: Shankar ji, yeh kya museebat mein phassaa diya hai. Rukk jaiyye titli ji! Hum aapki madad karna chahte hain!
The butterfly whizzes past Omkara. Gauri runs towards it, realizes Omkara is here and stops.
Omkara: Kya kar rahi ho, Gauri?
Gauri: Woh bechari titli ghalati se ghar mein ghuss gayi hai. Usko pakadne ki koshish kar rahe hain hum. Laikin woh hai ke harharai ke humse bhaagi jaa rahi hai.
The butterfly sits on her hair.
Gauri: Humein to samajh mein hi nahi aaraha hum kya...
Omkara: Stop.
Gauri freezes, tense. Omkara carefully comes close to her, focusing on the butterfly.
Omkara: Tumhare sarr pe baithi hai. Thoda dheere se saans lo.
Gauri (to herself): Agar aap aur paas aaye to saansein rukk hi jayengi.
Omkara: Kya?
Gauri: Woh... um... hum keh rahe the ke... saans rok hi dete hain, nai?
Omkara moves in closer and carefully picks up the butterfly in his hand. Both look at the butterfly, then at each other. Omkara puts his other hand above the butterfly, Gauri places hers on the sides, boxing the butterfly in. They walk towards a window and let the butterfly out. Omkara watches the butterfly fly out while Gauri looks at him, smiling.
Omkara: Thank you.
Gauri: Kis liye?
Omkara: Agar tum uss waqt mom ke saath nahi hoti to pata nahi kya hojata.
Gauri: Omkara ji, woh to humara farz...
Her smile fades. Omkara turns to her.
Omkara: Tumhare ehsaan ke liye shukriya.
Gauri, upset, walks away. Omkara watches her go. Dejected, he closes his eyes and puts his head down.
Staff Member: Sir, aapke liye lawyer ki office se kuch papers aaye hain.
Omkara looks up, takes the envelope from his hands and gestures him to leave.
Gauri’s Room.
Gauri opens the door.
Gauri: Aap? Yahan?
Tej is sitting on the bench in her room, waiting for her.
Tej: Iss ghar mein jo kuch aaj huwa, woh tum mujhe kab bataane wali thi?
Bua Maa’s Room.
Bua Maa is watching her Ratan doll sleep. There’s a knock on her door.
Omkara (outside the room): Bua Maa?
Bua Maa, startled, quickly hides the doll under the blanket.
Bua Maa: Omkara? Ek minute, puttar!
She looks around and hides anything incriminating. She opens the door.
Bua Maa: Everything okay, Omkie? Koi baat karni thi?
Omkara: Aap itne ghusse mein apne kamre mein aa gayi. Just wanted to make sure you were okay.
Bua Maa: Aww, so sweet, puttar. I’m fine. Woh bas Jahnvi ko uss Gauri ki side lete huwe dekh kar mujhe ghussa aagaya. I don’t trust that girl at all.
Omkara: Bharosa to mujhe bhi nahi hai, laikin I don’t think aaj jo kuch bhi huwa usne kisi bure iraaday se kiya.
Bua Maa: Don’t fall for her tricks. Woh jitni bholi dikhti hai, utni hai nahi.
Bua Maa sees the envelope in Omkara’s hands.
Bua Maa: Omkie yeh tere haathon mein kya hai?
Omkara: Oh, yeh aap ke lawyer ne papers bhejein hain. Prenup revocation agreement, jo Gauri se sign karwaana hai.
Bua Maa: So what are you waiting for? Sign karwake aa na.
Omkara: Abhi? Aapko nahi lagta mujhe thoda wait karlena chahiye?
Bua Maa: No! What’s the point, puttar? Sign to karna hai na usse. Jo kal kare so aaj kar, jo aaj kare so abhi. Divorce to waise bhi hona hai na, beta. Why wait?
Omkara: I guess aap theek keh rahi hain. Main jaata hoon.
Omkara leaves. Bua Maa picks up the Ratan doll and starts dancing.
Gauri’s Room. (continued)
Gauri: Maa ji ko kuch nahi huwa. Woh theek hain. Humein nahi pata tha ke...
Tej: Oh, for god’s sake. Main Jahnvi ki baat nahi kar raha. Main Bua Maa ki baat kar raha hoon. Unhone tumhe dhamki di? When were you going to tell me?
Gauri: Aapko kisne bataaya?
Tej: Rudra ne. Uss ne tum dono ki saari baatein sunn li thi. Woh to shukar hai ke Shivaay abhi contact mein nahi hai, to uss ne aake mujhse baat ki. Warna humara plan kharaab ho sakta tha. Progress kya hai?
Gauri: Bua Maa ji ka pagalpan roz badhta jaa raha hai. Laikin Omkara ji ko dikhaayi hi nahi de raha. Humein lagta hai humein kuch aur badaa karna padega.
Tej: Ek to mujhe yeh abb tak samajh nahi aaya why we couldn’t do this my way. Laikin tumhe hi zidd thi ke hum Bua Maa ko jail nahi bhej sakte. Aur abb tumhari hi jaan ko khatra hai.
Gauri: Sasur ji, agar humein humari jaan ki parwaah hoti to hum waapis hi nahi aate.
Tej: Dekho Gauri, maine tumhe iss ghar mein waapis aane mein help to kar di, laikin aage tumhe sambhaalna hai. Aur agar mujhe laga ke situation haath se nikal rahi hai, to main apne tareeke se handle karoonga. Main aur Rudra Bua Maa pe nazar rakhenge, but you need to be more careful.
Gauri: Uski naubat nahi aayegi. Hum jaante hain humein kya karna hai. Iss se pehle ke aapko yahan koi dekh le, aapko jaana chahiye.
Gauri opens the door for Tej as he leaves. Just as she’s closing the door behind him, someone stops it.
0 notes
hey-duaaa-here · 3 months
Text
waqt
log kehtey hein waqt marham hota haa waqt k sath sath Insan theek hojata haa taqleef kam hojati hai lekin qasam sai yaaar sab baatein hein jiska jata haa usi ko pata hota haa aurr kabhi kabhi tou taqleef waqt k sath kam nahe hoti balkay aur ziada barh jati haa.x🌻
0 notes