Tumgik
safdarrizvi · 24 days
Text
Tumblr media
Join Melpot.. First Social Media created by Muslim
1 note · View note
safdarrizvi · 2 months
Text
Tumblr media
For verily, the love of Allāhﷻ, is the ultimate goal.
2K notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
This video was supposedly removed from other platforms. Since I'm only active here and on Reddit, I found it there before it gets taken down from there. I hope it stays up here.
I request you all to keep a copy of the video and upload it if it gets removed. Upload it even if it isn't removed.
5K notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
ye chaman-zār ye jamunā kā kināra ye mahal
ye munaqqash dar o dīvār ye mehrāb ye taaq
ik shahanshāh ne daulat kā sahārā le kar
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
8 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Itna To Mere Haal Par, Ehsan Kiya Kar
Ankhon Se Mera Dard, Pehchan Liya Kar
Kuch Sath De Safar Me, Bohat Thak Gaya Hon Mein
Kuch Pal Hon Tere Saath, Meri Maan Liya Kar
Afsaney Mohabbat Ke, Adhurey Na Chor Tu
Jurm-E-Wafa Ka Mujhse, Har Bayan Liya Kar
Muddat Hui Is AAS Par, Thehra Hua Hon Mein
Bhulay Se Kabhi Tu Bhi, Mera Naam Liya Kar
Kar Apni Zaat Se... Wabasta Tu Mujhe
Ho Kar Khafa Mujh Se, Na Meri Jaan Liya Kar
3 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
yaad bhi hain kuch esi …tere naam se wabasta….
har subha hai jese …har shaam se wabasta…
bus tere tasawur se ….fursat nahi milti….
rehti hain teri yaadein …har sans se wabasta…
laakhon hain tamanein….par ye meri dua hai…
bus naam rahe mera …tere naam se wabasta….
2 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare”
Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare”
Bus Is Liye Har Kaam Adhoora Hi Parra Hai”
Khaadim Bhi Meri Qaum K Makhdoom Hain Saare”
Ab kon Mere Paaon Ki Zanjeer Ko Kholay”
Haakim Meri Basti K Bhi Mehkoom Hain Saare”
Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Houn Ab Tak”
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare”
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy “Mohsin”
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
4 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Utha kar phool ki patti, nazakat se masal daali...
Ishare se kaha, hum dil ka aisa haal karte hain!
Tumblr media
52 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Tumblr media
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajte ho baras jaao kisi din
Tumblr media
razon ki tarah utro mere dil main kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din
Tumblr media
pedon ki tarah husn ki barish main naha lo
badal ki tarah jhoom ke ghar ao kisi din
Tumblr media
khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
Tumblr media
guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare
is tarah meri raat ko chamkao kisi din
Tumblr media
main apni har ik saans usi raat ko de dun
sar rakh ke mere senay pe so jao kisi din
Tumblr media
-Amjad Islam Amjad
99 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Tumblr media
It's a different kind of pain when you don't cry anymore, you just take a deep breath and accept it just like, "hone they jitne khel mukaddar ke ho gye//hum tuti nav leke samandar ke ho gye//khushbu hamare hath ko chu kar guzar gyi//hum phool sabko baant ke pathar ke ho gye"
116 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Tumblr media Tumblr media
عندما تحب شخصاً ما ، يصبح اسمه بحد ذاته عاطفة
When you love someone, their name itself becomes an emotion.
331 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
What if I told you I'm incapable of tolerating my own heart ? -Virgina Woolf
And Sahir ludhiyanvi said; "kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aaya//baat nikli to har ek baat pe rona aaya",
And then Parveen Shakir said; "Hum to samjhe they ki ek zakham hai bhar jayga//kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jayga"
Also Jaun Elia wrote; "Jo baatein pee gaya tha mein//woh baatein kha gayi mujhko"
And Kate Jacobs said; Sometimes suffering is suffering, it doesn't make you stronger, it doesn't build character, it only hurts
And when Mohammad Alvi said; "Mai khud ko marte dekhte hue bohot khush hu//yeh dar bhi hai ki meri aankh khul naa jaye kabhi"
and sometimes I think my heart is a truly graveyard, full of incomplete wishes, unspoken stories, unimaginable pain and scars.
231 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
"dil mein iss qadar mohabbat hai unke liye, ke soye to khwaab unke aur jaage to khayal unke"
244 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
when mohsin naqvi said,
"kabhi ye dua ke wo mera hai faqat mera // kabhi ye darr ke wo mujhse juda to nahin
Sometimes I pray that he is mine, only mine // Ever out of fear that he might separate from me
kabhi ye dua ke usse mil jaaye saare jahan ki khushiyaan // kabhi ye khauf ke wo khush mere bina to nahin
Someday I pray that all the happiness of the world should be found with him // Sometimes this fear that he is happy without me
kabhi ye khwaish ke zamana ho muntazir uska //kabhi ye vehem ke wo kisi se mila to nahin
Someday this desire that the world is waiting for him // Sometimes this illusion that he had met anyone
kabhi ye aarzu ke wo jo maange mil jaaye usse mohsin // kabhi ye waswasa ke usne mere siwa kuch manga to nahin"
Sometimes I wish he get whatever he asked for // Ever wondered whether he asked for anything other than me.
my heart couldn't decide what it wants.
592 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
In English we say:
"Life is short. Don't stress."
But In Urdu we say:
"Khwahishu ke bhoj mai tu kya kr rha hai,
Itna toh jeena bhi nahin, jitna tu roz marr rha hai."
238 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
Today my mom was singing Mirza Ghalib's most famous ghazal, "yeh na thi humari qismat" (This was not our destiny). I said her "Let me record " and she replied "I won't let you record. I know you'll post it on your Tumblr and your friends will laugh at my voice." 😆After a lot of persuasion she finally agreed. Please ignore my strange voice, I have cold.😅
ye na thi humaari qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahi intezaar hota.
It was not my destiny that there would be a union with my beloved. If I had lived further on, there would have been this same waiting.
ye kaha ki dosti hai ke bane hain dost naaseh koi chaarasaaz  hota, koi ghamgusaar hota
What kind of friendship is this, where the friends have now become advisors. If only there were some healer, if only there was some sympathizer.
417 notes · View notes
safdarrizvi · 2 months
Text
In English they say;
"lost interests in everything"
But in Urdu we can say;
"Woh silsiley,woh shauk,woh nisbat nhi rahi,woh dil nhi raha,woh tabiyat nhi rahi"
Nisbat~(connection,relation)
428 notes · View notes