Tumgik
Text
Shukra kar Fikra na kar
Izzat kar us insaan ki,jo tuje izzat de
Zarorat samajh us insaan ko,
Jo tuje zarorat de
Khushi de us insaan ko,
Jo tuje dukh de
Pyaar kar us insaan se,
Jo tuje nafrat de
Ab se yahi kar, jab tak
Zinda hai
Kyoki yahi sab karm aapko
acha insaan bana de.
Shukra kar fikra na kar.
Ranjeet Rajput
7 notes · View notes
Text
Ek Sunsan Raat - Horror Story
Thand ka mausam, log bahar ghum rahe aangan me kasrat karte hue, aur raat ko saara mausam khaufnak ban jana. Saare log apni zindagi me vyast the. Par ek ladka Chirag eldum khule dil ka insaan kaam ke saath saath raat bhar baith kar kahania likhta tha. Chirag ke saath hi ek Ghati ghattna ke baare me aaj mai aapko batane ja raha hu.
Chirag apne dost ke saath ek kiraaye ke ghar me rehta tha. Purane zamane me har jagah hariyali yani jungle hi jungle hota tha. Isi liye log raat ke samay bahar nikalne se darte the ki sab jagah raat khaufnak ho jati thi. Isi ke beech Chirag aur uska dost Vaibhav saath me Collage ke saath saath Shaam se raat tak kaam par bhi jate the.
Tumblr media
Ek din Chirag aur Vaibhav saath me kaam se aa rahe the, unke ghar aane ka raasta jungle se hokar guzarta tha. Ek raat voh bahot der se ghar aa rahe the, andaaza raat ke 1:00 baj rahe the raat ko voh dono jungle hokar ghar aa rahe the ab jaise ki voh dono bahot hi thak gayr the unhone jungle me ek ped ke neeche baithkar aaram karna socha. Aur voh dono jaise hi ek ped ke neeche baithne lage unhe upar ek latak ti laash dikhi aur voh laash markar bhi zinda thi. Ab un donk ko ye pata chalgaya tha ki voh lash nahi ek pret hai. Aur voh dono bhaage. Aur bhagte bhaagte voh dono jab ghar pahuche tab unhone puja paath kar sone ke liye chale gaye aur subah ke andaaza 4 ya 5 baje unke sapne me vahi lash aayi aur unki neend vahi latak ti lash aayi. Aur unki neend khul gayi. Aur subah subah unhone ne apne ghar walo ko call kiya aur kaha ki raat ko unke saath ye saari ghatna ghati. Unke ghar walo ne unhe ye salah di ki voh dono fir se us jagah jae aur bina dare us pret se puche ki use kya chahiye voh kyu tumhara peecha kar raha hai. Voh dono ne yeh salah ko sahi samjha aur voh dono us jagah agli raat chale gaye aur unhe voh pret vahi mila. Chirag aur Vaibhav ne apna darr apne mann me chupa kar us pret se pucha hi liya jo unhe puchne ke liye kaha gaya tha. Pret ne apna jawab diya ki 'mai ek kisan tha maine apne khet me paani ki kami aur zyada udhar ki vajah se aatmahatya kar li thi. Maine apne parivar ke baare me bhi nahi soch paya ab mera parivar bhooka jee raha hai. Din me unhe ek ya 2 baar hi khana milta hai. Agar aap logo ko koi taqleef na ho to kya aap mere parivar ka kharcha utha sakte ho bas mere bache kaam par lag jae voh aap ko paise vapas lauta denge'.
Chirag aur Vaibhav ne bhi haami bhar di aur un dono ne agle hi din us kisan ke ghar jakr uske parivar saara kharcha uthane ka vada kiya. Un dono ne ye sab unka farz samjah kar kiya. Humara bhi yeh farz banta hai ki jo insaan humari seva kare hume bhi unki seva karni chahiye.
- Ranjeet Rajput
0 notes