Tumgik
#unhyn
maryam-mia · 6 years
Text
جمعۂ کا دن، مسجد ِ نبوی اور زم زم۔۔۔۔
Tumblr media
Jummay k din ka ehtemam bachpan se hi mama daddy ko kartay dekha. Daddy jese aam dino k muqablay myn jumma k din shalwar kameez pehanna pasand kartay, itar lagatay or masjid main khutba suntay or raat ko Ghar wapis aa Kar kuch iqtasabaat hum sab se share bhi kartay or mama ko surah qahef parhtay, nawafil parhtay or tasbeeh kartay dekha. Tu yun ye ehtemam bachpan se hi meri yaadasht ka hissa raha hai.
Ab jabkeh myn Alhamdulillah Allah ki khaas rehmat see shadi k baad Medina munnawarrah main mustaqil sakunat ikhtyar kiye huay hun tu Allah k fazal u karam se har jumma ki namaz masjid e nabvi myn naseeb hojati hai.
Mere sasural myn riwayat hai jumma k rooz subah sawairay jaldi uthnay ki or mere pyaray shohar Ahmed nashtay ka khaas ehtemam bhi kartay hain. Nashtay main yahan bohat hi alag kisam ki cheezain or bohat hi dilchasp naamu wali cheezain hoti hain.  مثلًا
متبل
بابا غنوج
حمص
طعمية
بيض مسلوق
جبنة و زيتون
Omlet, suji ka halwa or lassi hum sab Ghar myn miljul kar bana lete hain. Nashtay k baad Haram janay ki tyari main lag jatay hain. Haram ki parking myn gari park karne k baad escalator se ooper nikalty hi haram k sehan ka safed sang e marmar aankhon ko ajeeb sa sukoon aur thandak deta hy...
Numaziyon k aaraam aur sahulaat k liye lagaye gaye misting fans aur automatic umbrellas bara hi dilkash manzar paysh krty hyn..
Tumblr media
Aaj ittefaq se rash bhi kam tha lehaza myn aaram se andar masjid e nabavi myn dakhil hogyi aur tahiyat ul masjid k nawafil ada kr k beth gyi.. zam zam bhi khoob pita or surat al-kahf parhi...notice kiya k meray qareeb hi bethi meri hi ham-umr ek larki bohat saray nawafil parhti rahi aur khoob ro ro kr duayen mang rhi thi... myry dil myn najanay kia khayal aya k nafl parh kr uskay liye besakhta dua mangny lagi... k Allah uski tamam duayen qubool farmaye aur us ki mushkhilat aasan krdy... meray liye yeh ek ajeeb sa rohani experience tha. behrhaal, numaz k baad hum sab plan k mutabiq pehle se decided assembly point par wapis aa milay aur ghar k liye rawana huway..
Tumblr media
Rastay myn Mazbi aur Mandi lenay gaye...Ahmed ka maan'na hy k haftay ka yeh ek din.. ghar walon k sath achay se spend krny k liye zaruri hy k unhyn is din extra convenience provide ki jaye jesay k acha sa nashta bahir se laya jaye takay kitchen myn kuch khaas banana na paray... aur phir jesay shaam k khanay myn bhi kuch mazaydar si special cheez bahir se layi jaye joh k sab ko pasand ho... is tarah se joh rahat ghar ki ladies ko milay gi woh aaram kr k fresh hojayengi aur mentally relax bhi rhyngi.. aur is ki waja se sab ka mood bhi intehai khushgawar rhyga..
Allah ne Ahmed ko bohat hi positive zehn se  nawaza hy aur intehai narm dil ata kia hy... shaadi k almost 2 saalon myn yeh baat observe ki k positive mindset kitna zaruri hy..  insan k zaati sukoon k liye... aur kahin na kahin yehi humari maturity bhi hy.
Jesay k aaj shaam humaray beech bari dilchasp gugftu hoti rahi..  jis ka conclusion yehi tha k logon k positive aur negative behaviours humari zindgi par usi had tak asar andaz ho sakty hyn jis had tak hum apne actions ko un k influence myn anay ki ijazat dyn... agar hum logon k negative behaviours ko negativity k sath hi respond krty chalay jayen toh humara apna behaviour shayd itna budsoorat hojaye k qabil e nafrat ban jayega.. is liye zarurat is baat ki hy... k darguzar karna aur sabr krna seekh liye jaye... logon k nagawar rawwaiyon se samna ho toh ek samjhdar..mature.. aur aqalamand insan sab se pehle khud ko control myn rkhyga... jab aap khud par kisi k negative rawwaiye ka impact control krna seekh jayengy toh kabhi bhi koi baat apka sukoon disturb nahin kr sakygi inshallah...
kher... yeh guftgu isi tarah inhi positive notes pe khatm hui aur sath hi doorbell ki awaz sunayi di... Baba ghar wapis agaye thy.. sab ne ek sath dinner kia aur agar yeh ooper likhi gyi post Tumblr ne pehle delete na kerdi hoti toh hum is waqt PUBG khel rhy hotay.
Tumblr media
1 note · View note
baaesha · 7 years
Text
Loog hamyn use krtay hoye ye bhool jatay hn k hum b insaan hn... hamaray b sense kaam krtay hn... hamyn b logon k raviyon ka utar cerhao, un ka matlab k le ghusna aur kaam nikal kr peechay hatna aur dobara waqt pernay pe apnay qareeb hona mehsoos hota ha magar wo loog apnay mafad k agye itnay undhay ho chukay hotay hn aur hamari selflessness ko hamari bewaqoofi samjh kr ankhyn bundh kr k ye assume kr lete hn k is ne kahin nahi jana, [kyn k hamyn is ki nahi, isko hamari zarurat ha.. is jaisye bewaqoof tu hamyn lakhon mil jayn ge jinhyn hum aisye hi use kr k agye berhtay jayn ge magar wo hamyn use kr k agye berhnay ki itnay addict hojatay hn k wo is addiction mein ye baat bhool jatay hn k zarurat hameshah se un ko hamari the, hamyn un ki nahi. Ya shayad un addicted logo ki ego sab se badri hoti ha jo unhyn kabhi is addiction ko accpet krany hi nahi deti aur is k nateejay mein unki puri zindagi, even un ki zaat ak khobsurat jhoot k eelwah kuch nahi hoti.
Ak aisa khoobsurat jhoot, jis pe chotat badray jhoot is nifasat se multiple layering mein liptay hotay hn k asal aur naqal ka farq mit jata ha aur wo loog apnay asal ko faramoosh kr beithtay hn.]
Dar.haqeeqat yehi wo lamha hota ha jab hamara un se ye yak tarfa rabta tootna likha hota ha aur hum chup chap bina koi awaz kiye jaisye unki zindagi mein dakhil hotay hn, us hi undaz mein wapis nikal jatay hn aur jab tak wo ankhyn khol kr hamyn talash krtay hn
Hum dour bahut dour apnay qadmoo k nishaam mita kr agye berh chukay hotay hn. Farq sirf itna hota ha k wo roshni mein b na.beena hotay hn aur hum undekhay, unjanay, undheray rastay pe b roshan rehtay hn kyn k hamaray saath hamari acchai ki roshni hoti ha jo hamyn hameshah be.lous rakhti ha.
Hum hameshah se is baat se be.niyaz thay, hain aur rahyn ge k is acchai ki roshni se hamaray eelwah kon kitna faida uthata ha, kyn k is roshnay k hamaray andar honay mein hamara koi kamal nahi. Ye tu Rab ki nawzish hoti ha jo hamaray dil, hamari zaat, hamaray kirdaar ko munawar rakhti ha aur ye Rab ki nawazi hoi ha kashish hoti ha us roshni mein, jo loog us roshni ko dekh kr ham tak khinchay chalay atay hn.
2 notes · View notes