Tumgik
#vaabasta
tasavvur-e-jaana · 8 months
Text
Koi Dost
Wo koi dost tha khushi ke waqt ka, Jo aaj rehte rehte yaad aa raha hai.
Wo koi yaar tha aziz yaadon ka, Jo kal raat se bechaini badha raha hai.
Tera woh paimaan-e-wafaa mere liye, Phir tera jalta hua shav yaad aa raha hai.
Ab sambhalna hai namumkin e dost, Tu kashmakash mein ajab yaad aa raha hai.
Vaabasta woh meri nazar se guzre, Phir tera zakhm-o-lahu yaad aa raha hai.
Tujhe bhool na jaun, use maaf bhi kar doon, Woh jidd-o-jahd ka sabab yaad aa raha hai.
//
aziz - precious paimaan e wafaa - promise of loyalty vaabasta - to be connected jidd o jahd - struggle
24 notes · View notes
ritesh-writes · 1 month
Text
Friday, March 15th ❤️
Sawal: Naye sheher mein kaisa lag raha?
Jawab:
Iss sheher se naa main vaabasta,
Naa jaane kahan le ja raha ye raasta?
Junoon ki yahan kami hai,
Par saare yahan dhani hain,
Mujh mein hi kya Kami hai?
Kyun meri jaebein tani hain,
Bhatkoon akele liye sapnon ka basta,
Naa jaane Kahan le ja raha ye raasta. 🍁🍂
0 notes
newlydamned · 7 months
Text
sab noor noor sa bikhra hai ek tu hi khyallon me utra hai
in aankhon se vaabasta afsaane
0 notes
indiejones · 1 year
Text
Verbatim Transcriptions of Rajesh Khanna's last (audio & video) recorded messages for his fans, released after his death. - Rajesh Khanna’s Actual ‘Aakhri Khat’ !
Here are the video links:
1. https://www.youtube.com/watch?v=hgFRAmhufMo
2. https://www.youtube.com/watch?v=oitcCU4W4Q0
And here’s the transcription:
.1.Mere pyare doston, bhaiyon aur behnon.
.2.Nostalgia mein rehne ki aadat nahi hai mujhe. Hamesha bhavishya ke baare mein hi sochna padta hai. Jo din guzar gaye, beet gaye, uske baare mein kya sochna hai! Par jab jaane pehchaane se chehre, anjaan si ik mehfil mein milte hain, toh purani yaadein vaabasta ho jati han, phir laut aati hain.
  .3.Kabhi kabhi mujhe aisa lagta hai jaise, sau saal pehle jab main dus saal ka tha, tab se hamari mulaqat hai *chuckles*.
  .4.Mera janma theatre se hua. Main aaj jo kuch bhi hoon, ye stage, ye theatre ki badaulat hoon.
  .5.Maine jab theatre shuru kiya, toh mujhe theater walon ne junior artist ka role diya tha. Ek inspector ka. Jiska sirf ek hi dialogue tha, ki “Khabardar numberdaar gar bhaagne ki koshish ki, police ne chaaron taraf se gher rakha hai tumhe”, ye dialogue tha. … Toh usme main jaise second act mein gaya, toh maine kaha, “Numberdar khabardaar, tumne bhaagne ki..”, aur uske baad ka dialogue bhool gaya. Toh V.K. Sharma jo the, hero the, unhone kaha, “Haan haan, inspector sahab ka ye kehna hai ki bhaagne ki koshish mat karna, police ne tumhe chaaron taraf se gher rakha hai”. Jo dialogue maine bolna tha, vo dialogue unhone poora kiya, kyunki main dialogue bhool gaya, aur uske baad vo mujhe bauhut daant padi aur main bauhut roya bhi, maine kaha ki “Rajesh Khanna tum kehte ho ki tum actor banna chahte ho, ek line toh tumse theek se boli jaati nahi, sharm ki baat hai, laanat hai tumpe”.Maine bauhut kosa apne aap ko, aur maine kaha ki main kabhi actor nahi ban sakta. Lekin phir bhi, Bhagwaan ki muskaan samajh lijiye, zid samajh lijiye, maine kaha kuch na kuch toh karunga karke bataunga”.
  .6.a Main jab filmon mein aaya, toh mera koi godfather nahi tha, mera film mein koi rishtedaar, ya koi sar pe haath rakhne wala nahi tha.
.b. Main aya through the United Producers Filmfare Talent Contest.  …
.c. Contest chhapa Filmfare mein, Times of India mein, humne kainchi leke usey kata, usey bhara,
.d. Aur vahan likha tha ‘please send 3 photographs’. Humne 3 photo bheji.
.e. Humko bulaya gaya. Times of India mein tha. United Producer sab bauhut bade bade producer the, chahe vo Chopra sahab the, Bimal Roy the, H.S.Rawail the, Shakti Samanta the, bauhut sare, sab the”.
.f. Toh unhone kaha ki “humne aapko ek dialogue bheja hai, vo yaad kiya aap ne?”. Toh main saamne kursi pe baitha tha, aur vo badi si table mein, line mein jitney bade bade producer the, toh mujhe aisa lag raha tha jaise court martial ho raha hai, jaise ki ye abhi bandook nikalenge aur mujhe maarenge, goli chala denge. Kyunki saamne akeli ek kursi thi, bas.
.g. Toh maine kaha ki ye dialogue toh maine padha hai, lekin ye dialogue jo hai, aapne ye nahi bataya ki bhai iska characterization kya hai.Ki hero jo hai apni maa ko samjhata hai ki “main ek naachnewali se pyar karta hoon, lekin tujhe, main usko tere ghar ki bahu banana chahta hoon”, this was the dialogue, I mean, iska main vo tha.  Maine kaha, na aapne character bataya, maa ka na, ya bataya hero ka, ki bhai ameer hai gareeb hai maa sakht hai kadak hai naram hai, kya hai, middle class hai, ye aadmi padha likha hai anpadh hai, ya kuch bhi nahi.
.h. Toh Chopra sahab ne jhat se mujhe kaha, “Tum theater se ho?” Maine kaha “ji”.
.i. Maine kaha dialogue toh aapne likh ke bhej diya, ki is tarah se maa ko convince karna hai bol, dialogue boliye, lekin aapne characterization nahi bataya, ye koi stage ka actor hi bol sakta hai.
7.a. Toh bole “achha theek hai bhai tum koi bhi apna ek dialogue sunao”.
b. Ab kaato toh khoon nahi, pasinaa chhoot raha tha, maine kaha kya dialogue boloon, ye unhone bol diya aur ye sab bade bade log, inki picture humne 10-10 baar dekhi hui, produce-direct ki hui,
  7.c. Mujhe Bhagwaan ke Aashirwad se, ek aise writer ka ek dialogue mujhe yaad aya, ‘Mujhko yaaron maaf karna’.Us play ka dialogue, kyunki vo play maine kiya hua tha. Toh vo dialogue mujhe yaad aya,aur maine kaha ki main is kursi se uth sakta hoon,toh bole “haan haan jo karna hai kariye aap,lekin aap karke bataiye kya karenge. Toh thoda nervous bhi hua, jis tarah se bola mujhe laga daant ke bola.
 8.a. Jo dialogue hai jiski vajah se main filmon mein aya, mujhe G.P.Sippy ne chance diya, 40 saal pehle
b. “Haan main kalakaar hoon.Haan main kalakaar hoon,kya karoge meri kahani sunke tum?
 c. Aaj se kai saal pehle honi ke behkane se ek aisa pyala pee chuka hoon jo mere liye zeher tha auron ke liye amrit.
d. Ek aisi baat jiska ikraar karte hue meri zubaan pe chhale pad jayenge,lekin,phir bhi main kehta hoon,jab main chhota tha ek khaufnaak vakiya pesh aya ki main bhayanak aag mein main phas gaya.
e. Jab zinda bacha toh malum hua ki main badsoorat ho gaya hoon.
f. Jaise suhani subah darawni raat mein palat gayi ho.
g. Main bahar jaane se ghabrane laga,ghar par baithkar geet banane laga,jitna bhayanak tha mera chehra utne hi madhur the mere geet.
h. Duniya ne mujhe dhutkara lekin mere geeton se pyaar karne lagi aur main chillata raha ki tumhen chandni raaton se hai mohabbat aur main aankhon se barsata hoon sitaare.
i. Mere geeton ne hazaaron ko loota, mere mulaaqat ki minnaten hoti rahi par main main kisi se na milta.
j. Ek din ek khat aya, “Maine tumhare geeton mein shanti payi hai agar mulaqat na ho toh na jaane kya kar baithungi. Mujhe laga ye khoobsurat haseena isey bulaoon aur apna ye badsoorat chehra dikhakar poori taaqat se intaqaam loon. Maine usey bulaya vo ayi, kitni khoobsurat aur haseen, shabnam se bhi mulayam aur main jaise masoom ke saamne mayoosi. Main chehra chhupake baaatein karta raha mere geet shubde mein the aur uske geet zubaan par maine shaadi ka prastaav pesh kiya aur vo khushi mein boli haan. Mujhe manzoor hai. Main khud seham gaya maine chillakar poochha “Kaun ho kahan se aai ho tum, usne dheere se aansoo bahate hue keh diya “main main toh ek andhee hoon”. Maine uski aankhon mein dekha uski aankhon mein ishq tha tab maine kaha “jo teri aankhon ka bismil nahi, vo kehne ko dil toh hai magar dil nahi”.
    9. a. (Alongside Visuals of *Fans holding a Kati Patang photoframe*) Filmon mein aa toh gaya, lekin aane ke baad, vo khubsoorat kamyaabi ki seedi, chadhne ka mauka, ye sehra toh aapke sar hai, ye aap hain jinhone mujhe actor se star banaya, star se superstar banaya.
b. Kin alfaazon mein aapka shukriyada karoon, mujhe samajh mein nahi aata.
c. Pyaar aap mujhe bhejte rahe, pyar vo mujhe milta raha, lekin us pyar ko main kabhi lauta nahi paya.
d. Lekin jo bhi kehna chahunga jin alfaazon mein bhi aapka shukriyada karna chahunga vo mere dil ki sachchai hogi meri imaandaari hogi mera zameer hoga. ..  Aaj mera dil halka hua aapse guftugoo karke baat karke aur aap ka maine shukriyada kiya. Mujhe khud ko achha lag raha hai ki chaliye iss bahane aap se mulaqat hui.
  e. “Kisey apna kahen koi iss kaabil nahi milta, yahan patthar toh bauhut milte hain lekin dil nahi milta”.
f. Toh doston, aapka ek hissedaar main bhi hoon.
g. Aur jaise ki maine pehle bhi kaha ki aapne apna keemti waqt nikaalkar, aapka ye pyaar tha jo aap yahan maujood hue, aur itni bhaari sankhya mein.
h.      Toh main yahi kahunga ki “Bauhut bauhut shukriya, thankyou, aur mera bauhut bauhut salaam”.
_______________________________
Here’s the video link to his last video message to fans, recorded just a few days before his death:
https://www.youtube.com/watch?v=pFbEjlloBYs
https://www.youtube.com/watch?v=QDxbw3JgIvA
And here is it’s transcription:
Ye pehli baar ittefaq hua hai mere saath. Ki ad film ke liye. Kitni badi film hogi, ki mujhe un badi hastiyon ka saamna karna. Koi mamooli baat nahi hai. And first time in my life, mujhe samna karna pada. Aur mujhe lagta hai, badi kaamyaabi ke saath meri mehnat safalta ke saath dikhai degi. Mujhe ye mehsoos hota hai. God Is Great!
Jis tarah se hum saamna kar rahe hain, un fans ka, un unit ka jahan pehli baar ittefaq se meri jaan pehchaan hui, aur maine us challenge ko accept kiya. Aur ye mehsoos kiya, ki bhai main aaj usi hisse mein aya hoon, unke saath aya hoon, unke liye aya hoon. Unke pyar ke khatir. Aur vo samman jo main chahta tha, mujhe dono hathon se vo sweekar karna pada.
Hum bhi baithe hain raah-o-dar mein, tera milna khushi ki baat rahi. Tujhse milkar udaas rehta hoon, varna main bauhut kum udaas rehta hoon.
Toh baat ye nahi hai ki bhai main kisi bimari se utha. Kyunki agar dil jawaan hai, toh saamne har cheez jawaan hai.
Vo chahe tumhari hai ya nahi. Chheenna hai ya maangna hai. Uparwala hai. Chhappar phaadke deta hai.
(Reporter asks a qun- Ek aakhri sawaal. Aapko ye jab ad, aapne concept suna, aapko kaisa laga, aapne kaise react kiya? Concept kya tha??)
Humko laga ki bhai, this is another challenge. Is challenge ko aap sweeker kar payenge ya nahi kar payenge? Kyunki isme vo 25 saal, vo 30 saal, vo 50 saal jab se bhi maine career apna shuru kiya tha, ki vo ek vaada tha, log badle the, toh badalte hue dilon ko chheenna tha, vo dilon ko chhoona tha, vo pyaar jo aapka mila, vo sabhyata, vo prem, usko sweekar karke,  aap usi dhaanche mein dhalke, unke saamne, unka apna ban kar, vo challenge ko accept karna, aur us challenge ko accept karte hue, us pyar ko, vaapsi mein, ishq mein, pyar mein, lautana hai. Aur ye mila, aur main lauta saka ya nahi, yak al aapka theatre bolega, kal ka aapka cinema bolega, kal ka aapke fans bolenge, aur main yahi chahunga, ki kamyaabi ke saath agar maine is challenge ko accept kiya hai, toh iss challenge ka badla aapko chukana nahi hai, kyunki unhone apne aashirwaad se bheja hai.
 Reporter: Thankyou so much sir.
1 note · View note
kunalkarankapoor · 2 years
Photo
Tumblr media
"Dekh aaj itna kyon main ulajhta hun... Usoolon par jab bhi main chalta hun. Na huaa yakeen palbhar nazaron ko... Sach-jhooth ka fark jo main karta hun. Pooch lun sawaalaat gar mauka mile... Mitaane bhram..dastke main deta hun. Naumeed phira yun chaukht se teri... Dorahe pe phir khud ko mai paata hun." - @preetirajkotiya
"Bandha ek dhaage me khubsoorat ye rishta... Mil gaya..jaise naseebon se ho vaabasta. Mann bahlaane ko baithate jo mile sukoon... Apne sa lage..jaise dilon se ho alabatta." - @preetirajkotiya
0 notes
deepjams4 · 3 years
Photo
Tumblr media
लेखक!
लेखक #लेखन #लेखनी #hindipoetsofinstagram #hindipoetry #hindipoems #hindipoemsofindia #hindipoetsclub #hindipoetsofinsta #hindipoetsofig #hindipoetrycommunity #hindiwriting #hindiwriters #hindiwritersofindia #hindiwritersofinstagram #hindiwritersofig #kavitaayein #hindipanktiyaan #kalam #vaabasta #pinterest #pinterestindia #yqhindi #tumblr #poetsontumblr #spilledinkpoetry #hindiurdushayri 
https://www.instagram.com/p/CMzGYndJGyq/?igshid=1f1v4o60e1zcz
5 notes · View notes
noorulmisbahh · 3 years
Text
دِل کا ہر احساس اِس قدر وابسطہ ہے اُنسے
انہوں نے مسکرایا تو سمجھو ہمارا حال اچھا ہے
Dil ka har ehsaas is qadar vaabasta hai unse
Unhon ne muskuraaya toh samjho hamara haal acha hai.
-nimravizarath
•وابسطہ•
Vaabasta - Attached/connected
6 notes · View notes
dilkishehnaai · 4 years
Text
ho sake to ruk jaana
maana aaj kal log saath sirf aaj se kal tak hi rehte hai phir “we were not meant to be” aisa kuch kehte hai maana aaj kal sab ko jaldi hai pyaar par ek timestamp, ek pabandi hai lekin tum kaho, kya itna waqt kaafi hai? abhi to kitna kuch baaki hai
abhi patjhad ki hawa ne patto ko zameen par bichhaya nahi abhi shabnam ki boondon mein sardi ka wo ras aaya nahi abhi mohabbat ka ye paimana bhara nahi abhi yaadon ka maikhana tumse khafa nahi abhi kuch baatein bhi aadhi adhuri hai abhi bas kuch milo ki duri hai
suno, agar ho sake, to ruk jaana
abhi tumhe bachpan ke vaabasta sabhi rang chakhaane hai abhi tumhare sang dhalti jawani ke kuch aur din bitaane hai abhi bharni hai mithaas ke dibbo mein ek aur rasmalai abhi pilaani hai tumhe taaza taaza dhaabe waali chai abhi to ladhna hai humein chand paiso ke peeche abhi rakhna hai dono ka sapna ek takiye ke niche
suno, agar ho sake, to ruk jaana
abhi insta DMs se WhatsApp chat tak saath chalna hai abhi Facebook par hamara relationship status bhi badalna hai abhi to mere khat bhi tum tak pohnche nahi abhi kuch harf dabe hai ishaaron mein kahin ab bhi afwaao mein charche hamare hai ab bhi aksharo mein dhai tumhare hai
suno, agar ho sake, to ruk jaana
abhi toote taaro ka hamari khwaahish se milna baaki hai abhi tumhari surat par mehtaab ka dhalna baaki hai abhi puraane zakhmo ko bhar aane mein waqt hai abhi badalte waqt ko sabak sikhaane mein waqt hai abhi aasuon ke beech khushiyon ke samandar beh jaate hai ab puchho mann ki vedna to bas itna hi keh paate hai
ki suno, agar ho sake, to ruk jaana
har aaj se kal tak hi sahi, ho sake to ruk jaana aur agar na ruk pao, to suno, ho sake, to laut aana?
x
23 notes · View notes
bevewo · 2 years
Photo
Tumblr media
#intezaar #jaunelia #alizaryoun #urdupoetry #urdu #gulzar #ghazal #literature #mohabbat #breakupquotes #love #myfavorite @drifters_melody @kuch_hasin_si_baatiyen @scholar.gypsy @rantings_of_a_distressed_soul @poetsofkolkata @mcmvatraski @the_ankush_mehta @kritivij creative_hands229 @aapkajags @iamkirtikulhari @papaocus @we_write___ #bohemianstyle #bohemia @taneja.gaurav @zakirkhan_208 @vaabasta @mohdzeeshanayyub @jaun_elia_ @jaun.elia @kitabemaazi @_.goonj @bhuvan.bam22 @hisaimansays @rahatindoriofficial @ishqurdu @urdupoetrypoint @shah_online @_tabbu_writes_ @ayooshi__writes @tehzeebhaafi @alizaryoun @rahat.indori.sahab @pankajtripathi @bajpayee.manoj @naseerudinshah @officialpiyushmishra @iamsrk @yusuf__the_legend @gurupyaasadutt @beingsalmankhan @salimkhanfans @nishatsays @unerasepoetry @rumi.quotes @frozzenwhispers @urdu__thoughts @urdu._.poetry @ishqurdu @unerasepoetry @buttonpoetry @poetrysnaps @spill_poetry @poetry @ishqe.urdu (at Kolkata - The City of Joy) https://www.instagram.com/p/CYRdKcDPlYK/?utm_medium=tumblr
0 notes
khwabee-da · 2 years
Text
Tumblr media
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
1 note · View note
dpfagency · 4 years
Text
@rajput_sahab24 @vaabasta @bezubaan_quotes @shayari.world @gulzar.offici...
@rajput_sahab24 @vaabasta @bezubaan_quotes @shayari.world @gulzar.offici…
[ad_1]
📝 📝 📝 📝 📝 📝 @rajput_sahab24 @vaabasta @bezubaan_quotes @shayari.world @gulzar.official @point_of_pain @motivational_shayari @hindinama
#zakirkhar #kumarvishwas #sadfeelings #hindiwordsgram #galib #urduliterature #hindiwriting #words #quotes #muhobbat #2lineshayari #lovequotes #sadquotes #urdupoetry #urduquote #hindiword #gulzar #rahatindori @purva.purvai #tiktok @kavyagram #kavyagram…
View On WordPress
0 notes
wishnwed · 4 years
Photo
Tumblr media
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain.⠀ Afsaane hazaaron hain.⠀ ⠀ 📸 @tricityfilms⠀ #bridallook #bridesofindia#indianbride #bridalmakeup #makeup #bridalhair #bridaljewellery ⠀⠀ #bridalshower#bridegoals#brides#indianwedding #india #bride #bridesofindia #bridesofinstagram #bridetribe #bridechilla #daywedding #weddings #indianwedding #lehenga #redlehenga #bridallehenga #bridetribe #indianbrides #weddingtrends2020 #bridaltrends2020 #hairtrends https://www.instagram.com/p/B6X_BTjj9Sv/?igshid=1ujus3lu33toy
0 notes
Photo
Tumblr media
Saurav Pardeshi Follow - @key__creation Keep supporting Keep sharing Keep following • • • • • #inspiration #words #life #lifequotes #yqbaba #yourquote #motivation #yqquotes #lifequotes #instagram #world #inspirationalquotes #motivationalquotes #sadness #yourquote #leonardodicaprio @leonardodicaprio #mysterious #beautifulwomen #writinglife #quoteoftheday #mylife #world #hollywood @sanju_sonar16 #inspiredaily #determina #broken #kindness @___snerus_____ #dreambig #keepsupporting #thoughts @jeetranjan9 #lifequotes @deepalijagtap9 @vaabasta #kavyagram https://www.instagram.com/p/B1REFfxBM_5/?igshid=1f7hzsv9l7qj9
0 notes
kunalkarankapoor · 2 years
Photo
Tumblr media
"Betaab main ki manzilon se vaabasta kar raha... Chal kar farz ki raah par hun zaabta kar raha. Inaayat kar raha yun lage jazbaat pareshaan se tere ki... Aaj phir gale lagkar mujhse tu jo raabita kar raha." - @preetirajkotiya
0 notes
deepjams4 · 3 years
Photo
Tumblr media
#जमाना #hindipoetsofinstagram #hindi_panktiyaan #कुछअल्फ़ाज़ #hindipoetry #hindipoem #hindipoems #hindipoets #hindipoetsclub #hindiwriting #hindiwriter #hindiwriters #hindipoetry #vaabasta #hindicreativewriting #hindicreations #कविताएं https://www.instagram.com/p/CMZTSWRFfyn/?igshid=15kmki0fw7a55
1 note · View note
Text
Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse
Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse
Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse
Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse Jisne is dil ko pari-khana bana rakhha thaa Jiski ulfat main bhula rakhhi thee duniya hamne Daher ko daher ka afsaana bana rakhha thaa.
Aashna hain tere kadmon se woh rahen jin par Uski madhosh jawaani ne inayat ki hai Kaarwaan guzre hain jin se usi raanaai ke Jiski in aakhon ne besood ibadat ki hai.
View On WordPress
0 notes